Perfil de pratimapratima's spaceFotosBlogListasMás Herramientas Ayuda

Blog


11 marzo

banjara

banjara main ...

ek arsa hua hain kahda un main
intzar hai raston ke chalne ka

badhaye kadam main ne jab bhi
raston ne chupke se mod le liye..

har mod pe khada main socha kiya
kya isi raste pe hai manzil meri !

nazar milayi jab bhi manzil se
khitiz ne mustura ke pukara hai mujhe !

ruka to chod chali zindgi mujhe
chala to rishton ne roke hain kadam

abke socha hai ban ke banjara
chal dun bus raston ke sath kahin

ek arsa hua hai khada hun main
intazar hai raston ke chalne ka !!
10 marzo

ehsas

narm phoolon ke beech
kai baar kanton ne kiya hai ahut
 
ei khuda
ehsanmund hun
donon
ehsason ke liye
27 octubre

neend aur khwab

khwab bunti hun....kholti hun
phir bunti hun.....
need kachi hai shayad..
palkon ki koron se phisal jate hain
reshmi kwabon ke phande...

 

 

10 junio

likhne ke nishan

      chaand par likhna chaha kuch khas magar...
      tere khwab ki parchayi wahan pahle hi thi.

      chaha use mitakar kuch naya likhun...
      sadiyon ke mitne ke nishan kaise mitte!!
             

16 octubre

main aur tum

 kshitij sakshi hai
 
 Dharti Akash ki tarah...
Dharti aur Akash ke beech
kewal
 main aur Tum hi nahin
bahut se 'Main' aur "Tum'
uljhe hain
zindgi ke chor khojne main...
 
 
ek doosre ki auor
hath badhaye.......
ekdoosre se
ummed lagaye.......
nirantar door hote ek doosre se.......
24 agosto

untitled

   roz bulati hun...  
  baithati hun paas...
 
  pheeki muskaan ka lollipop dekar
  sahlati hun sar uska...
  choomti hun matha...
 
  pyar se machalta hai..
  thunakta hai...
 
  main mantramugdh..
  apne matmaile anchal par
  kheench leti hun uska aks...
  khelta hai mere lawn main
  beete pahar tak..
  phir soo jata hai
  meri goud main..
  masoomiyat se
 
  ye dard hi to hai..
  jo pakadkar meri ungli
  chalega door tak...
  manzil ke age ...
  dhalti shaam ke us paar...
  parchaiyon ki deewaron ko langhkar..
  door wahan...
  jahan hai..
  dera suraj ka!!
  baithati hun paas...
 
  pheeki muskaan ka lollipop dekar
  sahlati hun sar uska...
  choomti hun matha...
 
  pyar se machalta hai..
  thunakta hai...
 
  main mantramugdh..
  apne matmaile anchal par
  kheench leti hun uska aks...
  khelta hai mere lawn main
  beete pahar tak..
  phir soo jata hai
  meri goud main..
  masoomiyat se
 
  ye dard hi to hai..
  jo pakadkar meri unli
  chalega door tak...
  manzil ke age ...
  dhalti shaam ke us paar...
  parchaiyon ki deewaron ko langhkar..
  door wahan...
  jahan hai..
  dera suraj ka!!
 
13 agosto

dharti

tum druv tara ho.....
hur raat
chamakne ke liye
sthir...
 
Main
kewal dharti...
nadiyan...jharne...jungle..khoh.......parwat...
jo..jub ...jaise chahe...
aye ..jaye..
mujhse guzar kar...
banaye apne apne raste...
main..
kewal
dharti !!!
20 julio

तुम्हारे पदचिन्ह

रेत के इस टिले पर,
बैठी सोचती रही हूँ
कि मिट जाऍगे ,,,,
धीरे धीरे ये पद चिंह
स्वयं ही
जब
हवा चलेगी समय की,
लेकिन
बढती धूप के साथ
ये धँसते गए
गहराते गए ---
रात की ओस
बूँद बूँद एकत्र हो,
सींचती रही मरूथल को ,
सारी धरती पर
कोंपल उग आईं ,
पर-----
वो रेत
अब भी रेत है,
जहाँ हैं
तुम्हारे पदचिन्ह ।।
15 julio

untitled

main..... tum ....aur tum bhi
aao milkar
phir ekatrit karen..
tukde..katrane aur frame...
apne rang birange sapnon ke...
 
veh kitne bhi
badrang ...chaknachoor kyun na hon
unke kuch awshesh
to honge hi....
 
aao
unhen batoren
joden...chipkayen..
 
unka mool swaroop
wapas aa na paye shayad
phir bhi...
 
inse bayen hum
ek adhunik...yatharthwadi
collage..
 
aur pradarshit karen
use duniya ke samaksh
ek
amooly kalakriti ke roop mein
 
 
 
29 junio

untitled

kaisa lagta hoga unhe...jo zindgi guzaar dete hain..lekin jee nahin pate......shayad aisa...

 

ek hi dhoori par

ghoomta raha hun..

jaane kub se..

kai baar dekhna chaha..

paar se guzarti duniya ko..

kai rang nazar ayee

dhundhalke main..

kuch jaan pata..

ya..

koi pratikriya ho pati..

tub tak..

guzar gaya ek

sampurn kaal..

aaj..

jub ghis gayee dhoori

swam hi..

ruk gaya main

aur paya..

ki..

zindgi bhar..

ghoomne ke baad bhi

wahin khada hun..

usi apni dhoori par!!

24 junio

chakkar -3 sonia n shilpika

sonia....hmm......inke blog par bahut khubsoorat entries hai.....kavitayen bhi...english aur hindi dono main.....
she was the first one to notice....the 'Jugalbandi' as i would like to call , and joined in.....so read and enjoy!!
thankq Sonia..!!
 
 
(sagar aur kinare)
anhai bhi hoti hai sagar jaise
milne ki aas ko lekar tadapte hai waise
bahien phelakar leheron ki badate hai aise
samate le sannatte ki goonj  ko apni gehriyon mein kaise!
 
 
 
(pyar)
yeh adhoorepan
aage baadne ki aas dilata hai
jo kami zindagi mein hai
woh poora karvata hai
 
 
 
(aaina mein yeh chhera)
aaina mein yeh chhera
ek ghazal hai adhoori
kajare nayan,lal bindiya
kar gaye dastaan poori!
 
 
shilpika meri purani dost hai...blog par comment kum aur personaly jugalbandi zada hoti hai......phir bhi ek comment hai yahan...
 
 
 
(khali sa ek din)
sirf tumhare liye...
khali sa ek din uda.....
pohcha parbat paar.....
tum thi wanha......
simti si...kuchh uljhi si...
chup nadi si....gumsum si...
rah na paya...wo tumko dekh...
latak gaya  dupatte se....
lipat gaya khamoshi se....
bola...
bhar lo apni banho me...
bohot khali sa hnoo mai....
rakhlo girah bandh ke mujhko...
bas thak gaya hnoo...
bahatkte-bahatkte....

chakkar -2 Ek Abhishek

aab bari hai ..Ek abishek ki......he is tooooo  gud....!! dil se comment karte hain.....so read n enjoy!!
 
 
(sadiyan guzar gayee hain)
Na Radha hui alag kabhi
na Shyam
kyon ki dono ban gaye they
ab ek rang.
 
Jaise nadiya samaaye
sagar mein.
Waise Radha samaaye rahi
Ghanshyam mein.
 
Aur jab saagar nadiya
ho jayein ek,
Phir kahan rahe
milne-bichadne ka phera.
 
 
(rang)
Ishwar ne banaaye saat rang
aur phir kaha
chun lo
jisko jo ho pasand.
 
(sagar aur kinare)
Na sagar sahil pe
khatam hota hai,
aur na sahil
sagar pe
 
Bus dono
ek doosaray mein
samaa jaatey hain
chupke se.
 
Aur na tumhe maaloom
padta hain
na hamein.
 
 
(pyar)
ATMASMARAN
 
Puranta ko janti ho
antar mein apney,
per nahin bhoola paati
wah adhoorapan
jo saath raha hai
itnay janam.
 
yadi bhoolaa do to ho
sub ho kaam pooran.
 
Bhoola do to
yaad ho aaye
apna pooraapan.
 
Yahi hai khel jeevan ka
kuch bholanaa hota hai
aur kuch yaad karna...
 
 
(ayine mein ye chehra)
aine mein ye chehra....
roz mil kar, jhagadta hai mujhse
jaise kal agar main badal jaaon to
phir mauka milay na milay!

chakkar 1...haha..Priyank

hmm.....interesting......aaj mandeep ne poocha ye 'Priyank aur Pratima' ka chakkar kya hai......to maine bhi socha..KYA HAI YAR !!
phir mujhe aur bhi chakkar nazar aye....to aap sab paden aur enjoy karen.......dekhen is chakkar ki list mein aap hain kya....!!
 
Priyank se shuroo karti hun......( he was the firt one to comment in poetry) yahan title meri kavitaon ke hain hmm......list kafi lambhi hai.....ek sath padhne main shayad thodi boring ho to......har ek ke liye alag entry kaisi rahegi??
 
(hulchul)
Kaise kar diya rooh ko jism se alag,
Kinare mein sagar hai, sagar mein kinara...
 
 
(tamanna)
Kaho in logo se is aag ko naa bujhaaye,
Jale hai to jeene ka ehsaas sa hua hai...
 
 
(ehsas)
Zaruri nahi ke kehne par hi dil sunta hai,
yeh rishta to seedha dilo se judta hai,
tum kucch naa bhi kaho aur hum sun bhi le,
Aisa hi to apna dosti ka rishta hai,
Kaise nahi sunte tumhari dhadkano ko,
usme mere hi to dil ki saaz hai,
kyun tumhe kehna hai hume kucch bhi,
hum dono ki ek hi to aawaz hai...
 
(tilasm)
Aapse humne jaana ki woh ajab se kamaal dikhate hai,
Hiranon se baang aur badalon pe phool khilaate hai,
ek to pehle hi yeh badal aur hiran jaadui hai,
Aur woh jaadu par bhi jaadugari chalaate hai,
Nistabdhata mein bhi asthirta ka kaisa milan hai,
aap to sehra mein bhi nadiyan bahaate hai,
apni shunyamanaskta ko kabhi humne bhi tatola tha,
phir ussi din ko yaad karke muskurate hai,
aap unki jaadugari mein itne mashruf hai,
ki apni jaadugari ko bhi bhool jaate hai,
woh to sirf duniya daari pe jaadu chalate hai,
aap to ibadat mein khuda kehlaate hai...

 

 

(sadiyan guzar gayee hain)

Kaun jaane sadiyan guzri bhi hai ya nahi,
Unki yaad ka har pal sadiyon ki tarah hai,
Unki aas ki sadiyan bhi ek pal se kam hai,
Jab woh baasuri ka sur mere saath hai,
Phir mujhe kya ghum hai??
 
Kaun kehta hai mein sadiyon se yahaan yunhi,
palke bicchaye baithi hoon,
jab krishna samagra bramhand ki parikrama kar rahe the,
tab unke hriday mein , unke man mein,
unki baasuri ke sur mein woh mujhe hi to bhar rahe the...
 
log kehte hai ki radha mohan ke,
intezaar mein hi leen hai
woh kahaan jaante hai ke radha mein hi
mohan vileen hai
 
yeh log jhoothe hai jo kehte hai
ke Radha Krishna ka intezaar kiye jaati hai,
Sach to yeh hai ke ki mohan bin adhuri radha,
apne hi intezaar mein jiye jaati hai...
(preet0 sadiyan guzar gayee hain

 

(rang)

Kaun jaane khuda ko in rangon ka khayal kaise aaya hoga,
usne bhi inhe apne armaano se churaya hoga,
Kucch dard se, kucch karaar se, kucch krodh se, kucch pyar se,
In sab bhavanao ko usne bhi milaaya hoga,
Aur jaise hi woh bhavna se bani jaadui pudiya,
Dharti par aakaar khuli hogi,
Hawaon mein khushbu ghuli hogi,
Tabhi aasmaan mein indradhanush chhaya hoga,
Khuda ne apne armaano ka gala ghot kar hi,
in rango ko banaya hoga....

 

(vartalap)

Woh khamoshi se hume gair banaana chahte hai,
aur hum khamosh rehkar unhe kucch bataana chahte hai,
hum dono yunhi khamosh baithe hai,
hum paas aana chahte hai, woh dur jaana chahte hai...

 

to ye tha priyank ka ckakkar.......isme woh kavitayen (comments ) shamil nahin jo as blog enrty publish ki gayee hain....


 

dushala

bahut se pal ..
sambhalne par bhi..
jhar-bikhar jate hain zindgi se
 
abhawon ki mari..
aksar.......
yadon ke sandook se...
purane khsanon ko nikal,
paiband lagati hun
 
ummed ke taron se
see leti hun
 
to kahte hain log....
sundar hai dushala "PATCHWORK' ka!!
22 junio

jungle badal barish aur hum

jungle badal barish aur hum...
chum chuma chum chum
 
dekho chidiya gati gun gun
badal karte dum dum dum
 
barish ka ek aisa din
sal me aye din gin gin....
 
jungle badal barish aur hum.....
chum chama chum chum.....
 
jungle me ek nadiya hai ..
nadiya mein medhak tur tur..
 
jharna bahta rat aur din..
karta rahta
jhar jhar jhar...
 
suraj ata jata har din..
jugnu raat mein dete sath..
 
tare bhi hain tim tim karte
hathon mein ab dale hath
 
har subah hansi ke phabware
 dopahar nayee maze ki baat...
 
jungle badal barish aur hum..
chum chama chum chum .....chum chum chum....
 
kavita se zada ye geet ban gaya hai.......aur han maine akele nahin likhe......mere sath nisha aur vatsala , jo sirf 11 sal ki hai.....ne pura sath diya......ummeed hai aap sabko pasand ayegi.
 
 
 
08 junio

zindgi

 
hi friends,
aaj ki entry ek purani kavita hai...jo maine akele nahin likhi!!
hum kuch dost ek khel khelte thye....notepad par ek line likh kar...use pass karte thye...catch ye tha ki jo line likhi gaye hai usmein ek ya do lines hi add karni hai.....match karti hui pahle likhi hui lines ke sath....
 
to aap aaj ki entry padhen....yeh...likhi gayee...pratima..shilpi aur ritu ki train journey mein........
 
 
Ek daur sa chalta rahta hai
aur umr guzarti rahti hai...
 
bahti nadiya....rukta pani..
jalti bujhti si..zindgani..
 
shakhon par komal si kaliyan..
khilkar murjhati ahti hain...
 
jalte bujhte jugnoo ki tarah..
muskan juda ho jati hai...
 
ek  path par hum tum sath chale
kal honge phir se awara...
 
kal subah chale phir ham dhale
mil jayen shayad dobara...
 
bahti nadiya rukta pani....
jalti bujhti si zindgni...
 
ek daur sa chalta rahta hai
aur umr guzarti rahti hai..
 
 
 
.................to agar apko ye end result acha laga ho aur aap yeh khel try karna chahte hon to apki line hai....
 
aine mein ye chehra....
 
*** apko comments mein ye line likhni hai aur isse match karti hui doosri line(apni original line add karni hai).......next line jo add karna chahe woh....pichle comment ki lines ko likhe aur apni line add kare.....( i think i am not sounding too complicated!!)....sorry if i am.....lekin game ka maza hi yahi hai.....
 
 
to...i will be back.....in few days with  nice picts....and new experiences to add.......kuch dinon ke liye....bye
05 junio

pyar

 
is kavita ka shrey bhi priyank ko jata hai........thanQ priyank....bahut samay baad main pahle jaisa lihne lagi.......
 
 
yeh koshish hai..khud ko pane ki
adhoorepan ko poora banane ki
 
lahron mein bahaw hai
kinaron ka thahraw kahan
 
parwane mein pyas hai
shama ki aanch kahan
 
maa mein garima hai
beti ke chanchalta nahi
 
barish taral hai..
dharti si achal nahi...
 
ye pura hone ki chah....
hamen adhoorepan ka ehsas dilati hai...
 
aur mere "benaam" dost
yeh benaam si bhatkan hi pyar kahlati hai...
04 junio

vartalap

shoonya se karti rahi
nirantar baten...
jawab aya
ek sannata aur .....
.................maun  !!
na baten khatm hui meri...
na jawab ruke kabhi...
haota raha ek antarang vartalap...
phir bhi
chaya raha..
aviral
maun..!!
24 mayo

sagar aur kinare

wanted to write somthing else........but came across a nice kavita on Preetonline (priyank shah benam)......aur padhne ke baad........ye lines ......apne aap likhi gayeen..........
 
 
 

kinare hain sans roke

ummeed main...

aur sambhale hain bahon mein...

samandar ki .....

 gahraiyon ko.....angdaiyon ko,

rungeeniyon ko....sangeeniyon ko..

seepiyon ko..motiyon ko...

sabhi lahron aur

unmen tirte shahron ko..

 

 

sagar........

har baar

badhta hai kinare ki oar

lahron ki bahen phailaye...

phir phisal jata hai

apni hi gahraiyon mein...

 

sagar ke ansu

use kar deta hain khara...

aur kinaron ke hoton par ...

reteeli pyas hoti hain.......

isliye mere 'benam' dost

kinaron mein hi nahin..

samandar mein bhi milne ki aas hoti hai.....

aur dono main sadiyon ki pyas hoti hai...

 

19 mayo

rang

rachna karne se pahle
srishti ki
kya kalpit kiye the ishwar ne sare rang........??
 
ya phir yun hi
ous mein ghul kar
neela umber
mil gaya suraj ki  peetabh
kiran se !!
hawa ke galon se dhulak,
gira dharti par....
aur anayas hi
 bani hari duub.........
 
bache huye kai rang milkar
bani godhuli !!
 
jab godhuli chalak gayee
safed badal ki chadar par
to
sookhkar bani
kali badrang raat
 
tub di
ishwar ne suraj ko abha
 
ki chup jayen sahi
choti badi galtiyan......