Perfil de pratimapratima's spaceFotosBlogListasMás Herramientas Ayuda

Blog


20 julio

तुम्हारे पदचिन्ह

रेत के इस टिले पर,
बैठी सोचती रही हूँ
कि मिट जाऍगे ,,,,
धीरे धीरे ये पद चिंह
स्वयं ही
जब
हवा चलेगी समय की,
लेकिन
बढती धूप के साथ
ये धँसते गए
गहराते गए ---
रात की ओस
बूँद बूँद एकत्र हो,
सींचती रही मरूथल को ,
सारी धरती पर
कोंपल उग आईं ,
पर-----
वो रेत
अब भी रेत है,
जहाँ हैं
तुम्हारे पदचिन्ह ।।
15 julio

untitled

main..... tum ....aur tum bhi
aao milkar
phir ekatrit karen..
tukde..katrane aur frame...
apne rang birange sapnon ke...
 
veh kitne bhi
badrang ...chaknachoor kyun na hon
unke kuch awshesh
to honge hi....
 
aao
unhen batoren
joden...chipkayen..
 
unka mool swaroop
wapas aa na paye shayad
phir bhi...
 
inse bayen hum
ek adhunik...yatharthwadi
collage..
 
aur pradarshit karen
use duniya ke samaksh
ek
amooly kalakriti ke roop mein
 
 
 
12 julio

aaj

aaj dilli mein barish ka doosra din tha.....khubsoorat....kyunki mujhe barish pasand hai....bahut pasand hai........hmm.....raston par...sadakon par pani ikatha ho jata hai.....keechad.....traffic jams.....lekin phir bhi mujhe pasand hai barish....... Aaj bhi subah traffic jam main ruki hui car ke sheeshon par phisalta pani...car ki chat par padti boonden.....sheeshe par bahti barish ko maine hath se choone ki koshish ki.....hathon mein pakadne ki koshish ki.........mere chehre par smile thi........tabhi kisi ne yad dila diya 'KAL'.......pani ka rang achanak lal dikhne laga.....smile gayab ho gayee...mumbai......shrinagar...blasts....!!! Mumbai ki charcha hai...shrinagar..ki utni nahin......?? 100 se zayada log bemaut mare gaye...lekin.....bache hue ..aab bhi apni raftar main daud rahe hain...jaise kuch hua hi nahin...kabhi lagta hai.....ye taqat hai....log dare nahin atank se...kabhi lagta hai...ye ant hai samvedna ka.....aab in blasts ke sath hamari samvedna aur chetna...bhi cheethdon main ud gayee..hai...hum machine bun gaye hain.........apni roti...apni daud....!! Chalo mur gaye kuch log....woh to aab aam hai....ismen naya kya......dilli mein bhi to hua tha diwali par blast ..! phir banaras ke sankat mochan mandir mein ............humen office jana hai......bhagna hai....bhago...!! jab tak kisi aur blast mein.....cheethde hamare na hon..bhago.......bhago...daudo...samvedan heen machine.......jao office...dekho TV par badal do chanle......samachar kuch khas nahin...hue hain kuch blast jaise pahle hue they...phir honge....... kyun???
08 julio

sunanda ...aur hum..

 
sunanda kahani nahin hakikat hai...........nahin chahti ki koi uspar taras khaye....kyunki uska swabhaw tha dharti ki tarah...sweekarna.....woh halat se majboor ho shayad lekin ....atma se mukt thi..... aur iske liye apko..ameer gareeb...unpadh ya vidwaan nahin hona padta......sirf kholna hota hai gantho ko...
 
Sunanda.......itni sthirta...kissi bhi insaan main kaise ho sakti hai......yahan sawal purush ya stree ka nahin hai....pati ya patni ka nahin hai.....ek insaan ka hai.....apni gareebi aur pariwarik zindgi ko to woh poori tarah jeeti gayee......yakeen maniye.....zinda thi woh....jise aap 'live wire' kahte hain....use shikayat nahin thi....uparwale se bhi....hamesha hansti khilkhilati...bahut ameer thi woh.....mun se...
 
Lekin uski wajah se hi pahli baar mahsoos kiya maine ki maun aur sthirta main bhi bahut halchul ho sakti hai....aaj tak hai..mere bheetar.....shayad hamesha rahegi....pata nahin....main Gulzar nahin....na hi Tagore isliye shayad woh bata nahin sakti jo thee sunanda !!
 
 
07 julio

sunanda

kai salon se uski yadon ka bojh leke jee rahi hun...........kai baar doston ko sunayi hai uski kahani..lakin bojh nahin utra....shayad use kabhi bhula nahin sakungi....sunanda...yahi tha uska naam.

pune army hospital main hui thi usse mulakat....cancer ward mein ...hum dono sabse kum umr ki ladkiyan thin ...shayad isliye dono ki dosti ho gaye.....marathi mili hindi bolti thi woh...shadi ko shayad saal hi hua tha....ya nahin..yad nahin....aur kandhe main dard ki shikayat....cancer par ja kar khatm hui...uska dahina hath kandhe ke sath alag karna pada.....lekin ye kahani us lachar aur masoom sunanda ki nahin.......isliye agar apke mun mein daya ka bhaw aa raha hai to use thoda rok ke chalen...

 

gareeb maa baap ki sunanda apni zingi mein bahut khush thi....maa bidi banane ke karkhane main kaam karti thi aur pita bailgadi chalate thye..hmm...acha army ki naukri karne wala damad pakar dono ne khud ko dhanya samjha....aur sunanda chali gayee sasural ! pati army main thyee....zada samay border par posting rahti ..lekin sunanda must thi....chote dewar ke sath milker shatarat karna .....ghar ke piche wale bagh mein ped par chadhna..aur sas ki dant khana.....sab kuch theek tha .....lekin dahine kandhe ka dard pareshan kar deta!

 

is baar pati jab chuttiyon mein ghar aye to use haspatal le gaye..aur phir pune army hospital ke lambe din....doctor ne bataya....hath ko nikalna hi hoga operation kar ke.....lekin phir ek nakli hath lagaya ja sakega aur sunanda dheere dheere seekh jayegi uska istemal karna.....hmm.....sunanda maan gayee...ek hath se apne balon ko sanwarna....apne kapde pahanna...seekhna shuroo kar diya....hans ke kahti....acha hua abhi ye sab ho gaya...warna..agar bacha hota mera to kaise sambhalti.......!!

ek din sunanda ki maa jo uski dekh rekh karne ke liye paas hi rahti thi...pareshan ...ro ro kar sabko bata rahi thi ....use khabar mili thi uske damad ki shadi ho rahi hai.......!!..hmm..doosri shadi......sunanda chup thi......

 

kai logon ne salah di....compensation.....ajeewan kharcha..talak........police case....panchayat......jhagda....lekin sunanda chup....

 

operation kamyab hua....sunanda theek thi...lekin abhi uska ilaj lamba chalega....hmm....isliye haspatal mein hi milne aya uska pati......aur usne poocha sunanda se.....kya woh dusri shadi kar sakta hai...'sunanda ke liye'......aur janti thi sunanda, ki...shadi to ho chuki....aur ab woh chahta hai uski sweekriti ki muhar !!...lekin sunanda..chup.....

sunanda...ab bhi yaad hai mujhe.....kyunki......woh tooti nahin...ya phir ekdum toot gayee....pata nahin...lekin...royee nahin..gidgidayee...nahin....badla nahin liya.....gusse se cheekhi nahin........bus ye shabd yaad hain......jo apna tha jab woh nahin raha ...to   kisi bhi shikayat se.....jhagde se kya faida!!

main aaj bhi sochti hun....kis mitti ki bani thi woh.....kahan hai...kaisi hai...hai bhi ya nahin......pata nahin....aaj kai salon baad bhi uski yaad meri sansen rok leti hai...nazar dhundhli kar deti hai......aur...shabd maun ho jate hain.....aisi thi ...........sunanda!!

04 julio

kuch aur betarteeb baten...

 
hmm.........Mumbai mein barish...aur Dilli mein ek dum sookha.....bahut be-insafi hai...!! kyon hai na.....par kya karen...agar woh sab ko sab kuch de de do use kaun poochega...?
waise apko kya lagta hai...woh jo uparwala hai..woh bhi yahi chahta hai ki use sab nahi to kuch log zaroor puchen......usko bhi apne astitva ko pahchanne ke liye doosre ki pooch chahiye....?
 
kya kahte hain aap.....hota hai koi upar....ya sabhi our...ya nahin hota ..hmm.....jub bhi ye prashn mun mein uthta hai ek wakaya yaad aa jata hai....waise kuch naya ya unique nahin..phir bhi pata nahin kyun itne salon ke baad bhi bhula nhain payee hun....
 
Meri ek dost thi...thi..yani thi..aab is duniya mein nahin...kai saal hue....jub woh beemar thi to ek hospital mein dakhil thi.....hmm....kya hua tha...kidney main problem....waise...kyun hui  problem...pata nahin..khair...........
 
woh hospital mein thi...hum do dost usse milne jate they...aur hamesha hospital ke compound main ek peepal ka ped tha uske neeche baith khoob gappe marte they....(usee kafi dinon tak rahna pada tha...wahan).....kisi dekhne wale ko pata nahin chalta ..ki humme se koi mareez bhi ho sakta hai....us ped ke neeche kuch patharon ko ikatha kar ke.. kuch .... phool  dhoop...sindoor...wagarah ....yani ki wahan  ek mundir tha.....jaisa aksar sadak ke kinare bhi hota hai.......road side temple..!!
ek din jub hum wahan baithe baten kar rahe they...ek admi tez kadmon se chalta hua wahan aya aur un patharon ke pas baith kar rone laga....hum teenon chup....woh zor se rota raha...sir jhukaye..phir apni jeb se kuch paise nikalkar...wahan rakhe .......ansoo poch kar utha aur wapas chala gaya...!!!...hun teenon dost..chup....bahut der tak.... kuch na kah paye..na kuch soch payee....
 
ye baat jub bhi yaad ati hai...lagta hai.....uparwale ka hona....zaroori hai....bahut zaroori.....agar woh nahin bhi hota to bhi hamare vishwas ka hona zaroori hai........vishwas ka ki hum akele nahin...woh hai..!!
 
us din us insaan ka shayad koi bahut kareebi guzar gaya tha....woh bhawnaon ke bhawar mein is kadar uljha hoga ki.....sub dhundhla ho gaya....phir woh aya un pattharon ke paas....apne mun ka gubbar nikala.....kuch sikkon ka dhanyawad kiya.....aur chal pada woh sametna jo bacha tha........
 
agar uska woh vishvas nahin hota un patharon main....ya kisi uparwale main.....to woh insaan shayad wahin khatm ho jata...!!!
 
isliye...uska hona zaroori hai...agar woh nahin hota to bhi..zaroori hai..!!
 
ye thi kuch aur betarteeb baten..kya kahten hain aap??